Main Kaun Hoon歌词

添加日期:2022-01-15 时长:03分46秒 歌手:Meghna Mishra

Meghna Mishra - Main Kaun Hoon (《神秘巨星》电影插曲)
Written by:Kausar Munir/ Amit Trivedi
Koi yeh bata de main hoon kahaan
Koi to bata de mera pata
Sahi hai ke nahi meri yeh dagar
Loon ke nahi main apna ye safar
Darr lagta hai sapno se
Kar de na yeh tabaah
Dar lagta hai apno se
De dein na yeh dagaa
Main chand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar
Koi ye bata de main kaun hoon
Kyun hoon main kya hoon
Main kaun hoon
Yaqeen hai ke nahi
Khud pe mujhko kya
Hoon ke nahi main
Hai farak padta kya
Kiske kandhon pe roun
Ho jaaye jo khataa
Kisko raahon mein dhoondun
Kho jaaye jo pataa
Main chaand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar
Main sach kahun ya chup rahun
Dil khol doon ya tod doon
Main hadd karun ya bass karun
Main zidd karun ya chhod doon
Main chaand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon lehar
Main hoon sukoon ya hoon kehar
Hey hey hey
Main kaun hoon 编辑于2022/01/15更新
更多>

人气推荐

更多>

喜欢【Meghna Mishra】您也可能喜欢TA们的歌词…

更多>

最新歌词

Copyright @2011 - 2024 www.9ku.com
九酷音乐网 版权所有
ICP备案:黑ICP备2023008593号-1