Saathiya - A. R. Rahman (A·R·拉赫曼) Written by:A.R. Rahman/Gulzar Saathiya Saathiya Maddham maddham teri geeli hansi Saathiya Saathiya Sunke humne saari pee li hansi Hansti rahe tu hansti rahe Hayaa ki laali khilti rahe Zulf ke neeche gardan pe Subah o shaam milti rahe Hansti rahe tu hansti rahe Hayaa ki laali khilti rahe Zulf ke neeche gardan pe Subah o shaam milti rahe Saundhi si hansi teri Khilti rahe milti rahe Peeli dhoop pehenke tum Dekho baag mein mat jaana Bhanwre tumko sab chhedenge Phoolon mein mat jaana Maddham maddham hans de phir se Sona sona phir se hans de Taaza gire patte ki tarah Sabz lawn par lete huve Saat rang hai bahaaron ke Ek adaa mein lapete hue Saawan bhaadon saare tumse Mausam mausam hanste rehna Maddham maddham hanste rehna Saathiya Saathiya Maddham maddham teri geeli hansi Saathiya Saathiya Sunke humne saari pee li hansi Kabhi neeli aasmaan pe Chalo ghoomne chale hum Koi abr mil gayaa to Zameen pe baras lein hum Teri baali hil gayi hai Kabhi shab chamak uthi hai Kabhi shaam khil gayi hai Tere baalon ki panaah mein Yeh siyaah raat guzre Teri kaali kaali aankhein Koi ujli baat utrey Teri ek hansi ke badle Meri yeh zameen le le Mera aasmaan le le Saathiya Saathiya Maddham maddham teri geeli hansi Saathiya Saathiya Sunke humne saari pee li hansi Barf giri ho vaadi mein Oon mein lipti simti hui Barf giri ho vaadi mein Aur hansi teri goonje Oon mein lipti simti hui Baat kare dhuaan nikle Garam garam ujlaa dhuaan Naram naram ujlaa dhuaan编辑于2021/03/07更新